Happy Republic Day 2014 Hindi Essay and Speech | 65th Republic Day Hindi Speech
Aadarniya pradahancharya, shishak mahoday aur mere pyaare
sehpathiyon. Aaj is shubh avsar par mai apne aapko gauravvantit mehsoos
krta hun ki mujhe apne savindhan pe bolne ka mauka mila.
Sabse pehle 26th Jan jo ki Gantantra Divas ke naam se poore bharat varsha me manaya jaata hai. Aaj se thik
65 varsha purva hamara bharat san 1947 me aazad hone ke baad 26 jan
1950 me gantantra hua tha. Is din hamare poore Bharat me samvidhaan ko
apnaaya gya tha. Bharat ke pratham rastrapti Dr. Rajendra Prasad ne
sabse pehla karya kaal sambhala tha. Tabse ab tak is Bharat desh me kai
neeti or kaanoon ko mahatav diya gaya jise Bharat desh ke sarvadhik
naagrik apnate hain.
Is din Delhi me Rajpath New Delhi me vishesh
parade nikali jaati hai. Raashtrapati dhwaj ko fehrane ke baad is
parade ko hari jhandi deta hain jo ki Rashtrapati Bhavan se India gate
tak lagayi jati hai. Iske baad anek topon se salaami di jaati hai.
Poore Bharat desh me Gantantra Divas harsho ullas se manaya
jata hai. Tarah Tarah ke rangarang karyakarm bhi aayojitki
jaati hai. Saare Bhaartiya naagrik desh ke mahan veeron ko shradhanjali
samarpit karte hain.
Atah mai aap sabhi logon se aagrah krta hun ki hame apne
savindhaan ki raksha apne kartavya ki tarah krni chahiye. Ye hamare
desh ki shaan maan or jaan hai. In shabdon ke saath mai apne vaani ko
vishraam dena chahta hun..
****65th Gantantra Divas ki Hardik Shubhkaamna****
No comments:
Post a Comment